Thursday, October 1, 2009

Best Of Mir

In my previous two posts I have mentioned about the legendary "Shayar" Mir Taqi Mir sahab. Mir was a distinguished shayar and had a peculiar and immaculate style in his poetry. His poetry is so authentic that it reaches the core of your heart.

Here are two of his stupendous Ghazals.

Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai,
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai.

Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain,
Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai.

Aashiq saa to saada koi aur na hoga duniya mein,
Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai.

Chaaraa gari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin,
Warna dilbar-e-naadaan bhi is dard kaa chaara jaane hai.

Mehr-o-wafa-o-lutaf-o-inait, ek se waqif in mein nahin,
Aur to sab kuchh tanz-o-kanaya, ramz-o-ishara jaane hai.

Aashiq to murdah hai hamesha ji uthta hai dekhe use,
Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai.

Tashna-e-khun hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talkhi-kash,
Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai.

This Ghazal was used in the hindi feature film Ek Nazar featuring Amitabh Bachchan and Jaya Bachchan with some modification in the words.
--------------------------------------------------------------------------------------

Ibtadaae ishq hai rota hai kya,
Aage aage dekhiye hota hai kya.

Qafile mein subah ke ek shor hai,
Yaani ghaafil ham chale sota hai kya.

Sabz hoti hi nahin yeh sar zamin,
Tukhm-e-khwahish dil mein tu bota hai kya.

Yeh nishaan-e-ishq hain jaate nahin,
Daagh chhaati ke abas dhota hai kya.

Ghairat-e-Yousaf hai yeh waqt-e-aziz,
Mir isko raigaan khota hai kya.